Monday, October 15, 2012

VIR KI VIDAI

matribhumi ki yagyaagni ko,
kar samarpit pran chalu..
ek sheesh apna bhi mai ma,
karke mai balidan chalu.

pushpo se pujit sajjit kar,
kar dena tum mujhe vida..
ashrupurit na karna ankhe,
hokar jab nishpraan chalu..

dena mat ma mujhe duhai,
laut ke a balak mere..
aj tumhare ghar ki mitti,
ka banne abhimaan chalu..

mat karna ashrupurit,
naino ko ab meri khatir...
dekar lahu zami ki khatir,
mukhrit kar muskan chalu...

antim meri yahi vidai,
karna tum swikar o maa..
kabhi janam hoga jab mera,
ungali pakad pakad ke teri banke mai
santan chalu...